ओ भगवान को भजने वाले
धरले मन में ध्यान
भाव बिन मिले नही भगवान।।
O Bhagwan Ko Bhajne Wale
Dharle Man Mein Dhyan
Bhav Bin Mile Nahi Bhagwan
O Bhagwan Ko Bhajne Wale
Dharle Man Mein Dhyan
Bhaw Bin Mile Nahi Bhagwan
Duryodhan Ki Chhodi Meva
Bhayi Gayi Vidurani Ki Seva
Shraddha Aur Samarpan Se Hi
Reejhe Daya Nidhan
Bhav Bin Mile Nahi Bhagwan
Bhav Bin Mile Nahi Bhagwan
Jhuthe Phal Sabri Ke Khaye
Ram Ne Ruchi Ruchi Bhog Lagaye
Jo Dhunde Uss Ko Mil Jaye
Kahte Ved Puran
Bhav Bin Mile Nahi Bhagwan
Bhav Bin Mile Nahi Bhagwan
Dhurv Prahlad Sudama Meera
Narsingh Bhagat Mitayi Peera
Bhool Gaye Mohan Thakurayi
Ban Baithe Gadwan
Bhav Bin Mile Nahi Bhagwan
Bhav Bin Mile Nahi Bhagwan
Bhav Bina Naa Bhakti Suhaave
Bina Guru Ke Gyan Naa Aave
Raah Naa Paave Rasik Baware
Tu Moorakh Nadaan
Bhaav Ka Bhookha Hu Main
Bhaav Hi Bus Mera Saar Hai
Bhav Se Mujhko Bhaje
To Bhav Beda Paar Hai
Anna Dhan Vastra Bhushan
Kuchh Naa Mujhko Chahiye
Naam Ho Jaye Mera
Bus Yahi Mera Satkar Hai
Bhav Jis Jan Ke Nahi
Uski Mujhe Chinta Nahi
Bhav Wale Bhakt Ka Mujhper
Bharpur Bhaar Hai
Bandh Lete Bhakt Mujhko
Prem Ki Janjeer Mein
Iss liye Iss Bhoomi
Per Hota Mera Avtar Hai
Bhav Bin Mile Nahi Bhagwan
Bhav Bin Mile Nahi Bhagwan