Aisi Mohan Ne Murali Bajayi

Aisi Mohan Ne Murali Bajayi
Saari Gopi Sunane Ko Aayi

Aisi Madhur Bajayi Tumne Murali Ki Taan
Main To Jaati Hu Jhoom
Jab Sunte Hai kaan

Main Khud Ko Rok Na Paayi
Saari Gopi Sunane Ko Aayi

Aisi Mohan Ne Murali Bajayi
Saari Gopi Sunane Ko Aayi

Tere Murali Mein Jaane Kya Jaadu
Ab Man Pe Rehta Na Kaabu Hai

Aisa Jaadugar Hai Kanhai
Saari Gopi Sunane Ko Aayi

Aisi Kanha Ne Murali Bajayi
Saari Gopi Sunane Ko Aayi

Mohan Mujhko Bhi Murali Bana Leejiye
Apne Hoto Pe Mujhko Saja Leejiye
Sapno Mein Bhi Det Sunai
Saari Gopi Sunane Ko Aayi

Aisi Mohan Ne Murali Bajayi
Saari Gopi Sunane Ko Aayi

Leave a Reply