Bina Vighna Ke Kaaj Sanwaro
Ganpati Ji Mere Ghar Mein Padharo
Modak Laddu Roli Chandan
Natmastak Ho Karlu Vandan
Meri Har Ek Bhool Bisaro
Ganpati Ji Mere Ghar Mein Padharo
Bina Vighna Ke Kaaj Sanwaro
Ganpati Ji Mere Ghar Mein Padharo
Sukh Dukh Ki Chalti Purvaiya
Dol Rahi Hai Jeevan Naiya
Bhav Se Mujhko Paar Utaro
Ganpati Ji Mere Ghar Mein Padharo
Bina Vighna Ke Kaaj Sanwaro
Ganpati Ji Mere Ghar Mein Padharo
Moh Maya Ka Bandhan Toote
Janam Janam Ka Fera Chhute
Kripa Drishti Mujhpe Daaro
Ganpati Ji Mere Ghar Mein Padharo
Main Balak Anjaan Gajanan
Gyan Ka Do Vardaan Gajanan
Daya Prem Se Mujhe Nihaaro
Ganpati Ji Mere Ghar Mein Padharo
Bina Vighna Ke Kaaj Sanwaro
Ganpati Ji Mere Ghar Mein Padharo