bhajan Lyrics Bhakti- bhakti.lyrics-in-hindi.com
Dhanya Devki Maiya Tumko
Sau Sau Baar Pranaam
Dekar Janam Kanhaiya Ko
Kiya Yashomati Ke Naam
Shyam Aagaya Mera Shyam Aagaya
Maiya Yashoda Ke Kaam Aaya
Dekhte Hi Nanand Baba Kehne Lage
Meri Atma Ko Aaram Aagaya
Leke Aaye Avtaar Kanhayi
Chalo Maa Yashoda Ko Dene Badhai
Singer: Vaibhav Vashistha
Leke Aaye Avtaar Kanhayi
Chalo Maa Yashoda Ko Dene Badhai
Dhol Bajne Do Bato Mithayi
Chalo Maa Yashoda Ko Dene Badhai
Nand Gao Ko Sajao Aese
Ho Koi Chaand See Dulhan Jaise
Aasama Se Sitare Le Aao
Ye Naa Poochho Ye Hoga Kaise
Khusbiye Ghol Do
Gokul Ki In Hawao Mein
Intra Udane do Yaha
Ki Sabhi Dishao Mein
Sab Galiyo Mein Phool Bichha Do
Chaubaro Ko Swarg Bana Do
Shyam ka Swagat Yu Hota Hai
Saare Jag Ko Aaj Bata Do
Shyam Ko Palko Mein Jhulana Hai
Atma Mein Apni Basana Hai
Ek Jhalak Dekh Kar Sanware Ki
Fir Sar Kadmo Mein Jhukana Hai
Ab Harek Aur Ujala Hi Ujala Hoga
Sab Ka Rakhwala Yaha Bansuri Wala Hoga
Aaj Lagani Hai Mathe Se
Shyam Charan Ki Dhool
Seedhi Sachchi Baat Yahi Hai
Baaki Baat Fizul
Khayenge Roj Makhan Malayi
Chalo Maa Yashoda Ko Dene Badhai
Shubh Ghadi Hai Bajao Sehnai
Chalo Maa Yashoda Ko Dene Badhai
Pingback: Krishna Janmashtami best Krishna bhajan Lyrics – bhakti.lyrics-in-hindi.com