Gaiya Tera Haal Dekh Kar
Man Mera Bhar Aaye
Gaiya Tera Haal Dekh Kar
Man Mera Bhar Aaye
Jag Ki Palan Haari Maa
Dar Dar Ki Thokare Khaye
Jis Balak Ki Maa Naa Ho To
Tum Uski Maa Ban Jaati
Paal Posh Kar Usko
Jag Mein Jeene Yogya Banati
Karti Hai Vo Ahsaan
Tu Jo Kabhi Uatar Naa Paye
Gaiya Tera Haal Dekh Kar
Man Mera Bhar Aaye
Peekar Dhoodh Chhod Dete Hai
Paapi Jag Ke Bande
Matlab Khor Jamane Wale
Hue Akal Ke Andhe
Itni Mamta Barsakar Bhi
Khud Pyasi Rah Jaaye
Gaiya Tera Haal Dekh Kar
Man Mera Bhar Aaye
Gaflat Mein Sone Walo Kuchh
Apne Hosh Sambhalo
Gaiya Maa Ki Seva Karke
Apne Bhagya Banalo
Rota Hai Paali Ka Dil
Jab Gaiya Neer Bahaye
Gaiya Tera Haal Dekh Kar
Man Mera Bhar Aaye
Jag Ki Palan Haari Maa
Dar Dar Ki Thokare Khaye
Pingback: जीवन बहता पानी रे प्राणी काहे करे तूँ गुमान रे – bhakti.lyrics-in-hindi.com
Pingback: bhajans ke best lyrics fonts – bhakti.lyrics-in-hindi.com