Maa Gaura Ke Raj Dulare
Shiv Bhole Ki Aankh Ke Taare
Hey Ek Dant Ganraj
Tumhara Kya Kahna
Karu Sarva Pratham Gungaan
Tumhara Kya Kahna
Hey Ek Dant Ganraj
Tumhara Kya Kahna
Hey Ek Dant Sarkar
Tumhara Kya Kahna
Karu Sarva Pratham Gungaan
Tumhara Kya Kahna
Tum Pahle Pooje Jaate
Vighano Door Bhagate
Jo Mahima Teri Gaate
Usse Kasht Kabhi Naa Satate
Jo Tera Dhyan Lagaye
Jo Sumiran Tera Gaaye
Usse Karte Ho Pyar
Tumhara Kya Kahna
Hey Ek Dant Ganraj
Tumhara Kya Kahna
Tum Riddhi Siddhi Ke Data
Hai Modak Tumko Bhata
Gaj Badan Vinayak Tumhari
Sharan Mein Jo Bhi Aata
Tum Naiya Paar Lagate
Hey Bigadi Sabki Banate
Hey Mooshak Ke Aswar
Tumhara Kya Kahna
Karu Sarva Pratham Gungaan
Tumhara Kya Kahna
Jo Pooje Maat Pita To
Samman Hai Tumsa Pata
Fir Saare Jagat Mein
Tumsa Pratham Hai Pooja Jata
Lakkhi Ne Tumko Dhyaya
BHavesh Ke Sang Hai Manaya
Ab Kripa Karo Iss Aur
Tumhara Kya Kahna
Hey Ek Dant Ganraj
Tumhara Kya Kahna
- Jay Dev Jay Dev Jay Ganraya
- Ganpati Ke Charno Mein Pranam Karte Hai
- Ganpati Bappa Moriya Agale Baras Tu Jaldi Aa
- Ganpati Gajananda Riddhi Siddhi Pradata Hai
- Tu Shankar Ka Raj Dulara Gaura Maa Ki Aankh Ka Tara
- Shiv Ke Laala Deen Dayala Gaura Putra Ganesh Kaato Sakal Kalesh
- Ganesh Ji Ke Dohe – Vighan Haran Gan Nathji Kripa Karo Maharaj
- Shree Ganesh Vandana Pahle Ganpati Poojke Paachhe Kariye Kaaj