Hey Gan Nayak Hey Gan Nath
Sir Pe Daya Ka Rakhna Hath
Rehna Sada Bhakto Ke Sath
Maa Gaura Ki Aankh Ke Taare
Shiv Shakar Ke Tum Ho Pyare
Riddhi Siddhi Ke Tum Ho Swami
Tum Gan Nayak Tum Anter Yami
Dev Bhi Pooje Tumhe Din Raat
Sir Pe Daya Ka Rakhna Hath
Hey Gan Nayak Hey Gan Nath
Sir Pe Daya Ka Rakhna Hath
Hey Gan Nayak Hey Gan Nath
Tumhare Janam Ki Adhbhut Maya
Vedo Ne Bhi Paar Naa Paya
Jisne Suni Aur Jisne Sunayi
Ganpat Kripa Usne Paayi
Karo Sharavan Tum Jod Kar Haath
Sir Pe Daya Ka Rakhna Hath
Hey Gan Nayak Hey Gan Nath
Ek Din Shree Giriraj Kumari
Sanan Ki Karne Lagi Taiyari
Badan Pe Phir Ubtan Thi Lagayi
Man Mein Ek Shanka Thi Aayi
Bhakto Suno Aage Ki Baat
Sir Pe Daya Ka Rakhna Hath
Hey Gan Nayak Hey Gan Nath
Sir Pe Daya Ka Rakhna Hath
Rehna Sada Bhakto Ke Sath
Hey Gan Nayak Hey Gan Nath
Sanan Grah Mein Koi Naa Aayi
Gaura Ke Man Baat Samaye
Ubtan Se Balak Tha Banaya
Usko Dware Par Baithlaya
Balak Tum Ye Rakhna Dhyan
Jab Tak Main Naa Karlu Snaan
Hey Gan Nayak Hey Gan Nath
Sir Pe Daya Ka Rakhna Hath
Bheetar Koi Naa Aane Paaye
Balak Ye Tum Rakhna Dhyan
Sanana Grah Mein Shiv Jee Aaye
Dwar Pe Balak Baitha Paye
Kaun Ho Tum Kya Naam Tumhara
Main Hu Gauri Nanand Dulara
Shiv Shakar Ho Gaye Hairan
Baato Pe Naa Dekar Dhyan
Hey Gan Nayak Hey Gan Nath
Sir Pe Daya Ka Rakhna Hath
Chale Bheetar Bhole Bhagwan
Baato Per Naa Dekar Dhyan
Balak Ne Shankar Ko Toka
Bheetar Jaane Se Tha Roka
Maa Ki Agya Unko Sunaye
Koi Bheetar Jaa Naa Paye
Shiv Bole Main Hu Gauri Nath
Maanlo Balak Meri Baat
Hey Gan Nayak Hey Gan Nath
Sir Pe Daya Ka Rakhna Hath
Balak Baat Raha Naa Maan
Krodhit Ho Gaye Shiv Bhagawan
Nandi Bhringi Ne Samjhaya
Balak Ki Kuchh Samajh Na Aaya
Saare Devi Devta Aaye
Vo Bhi Balak Ko Samjhaye
Krodhit Ho Gaye Shiv Bhagwan
Hath Liya Trishul Ko Thaam
Hey Gan Nayak Hey Gan Nath
Sir Pe Daya Ka Rakhna Hath
Balak Sang Liya Yuddh Ko Thaan
Dono Beech Hua Sangram
Balak Par Trishul Chalaya
Uska Sheesh Aakash Udaya
Shor Suna Gaura Akulayi
Snana Grah Se Baahar Aayi
Balak Ko Dekha Mrat Praan
Gaura Ko Hua Kasth Tamam
Hey Gan Nayak Hey Gan Nath
Sir Pe Daya Ka Rakhna Hath
Balak Ko Do Jeevan Daan
Nahi To Shristi Karu ShamShaan
Krodhit Roop Hue Maha Maya
Dev Gano Mein Bhay Tha Chhya
Shiv Ne Kaha Vishnu Jee Jao
Jaldi Koi Sheesh Le Aao
Gaj Ka Sheesh Laye Bhagwan
Balak Dhad Rakha De Diye Praan
Dev Gano Ne Kiya Gungaan
Krodh Hua Gaura Ka Tamam
Shiv Ne God Mein Fir Baithaya
Aur Ganesh Ka Naam Dilaya
Pratham Poojya Neey Tumko Banaya
Gan Nayak Bane Shree Gan Raya
Sabne Kiya Tumko Pranam
Jai Jai Kaar Kiya Gungaan
Jai Jai Ganpati Bhagwan
Hey Gan Nayak Hey Gan Nath
Sir Pe Daya Ka Rakhna Hath
- Hey Gan Nayak Hey Gan Nath Sir Pe Daya Ka Rakhna Hath
- Vishwa Vinayak Mangaldayak Siddhivinayak Ganraya
- Sabse Pahle Yahi Shubh Kaam Kare Aao Milkar Shri Ganesh Kahe
- Ganpati Jee Mori Rakhiyo Laaj Jai Ganesh Mahadeva
- Shri Gajanan Jay Gajanan Siddhi Vinayak Morya
- Chaar Bhuja Dhari Jee Moosh Ki Savari
- Gauri Ke Laal Karoon Vandana Tumhari
- Har Dukh Harlo Hey Shiv Ke Raj Dulare
- Lo Avtaar Ganpati Deva Aajao Aajao
- Sabse Pahle Yahi Shubh Kaam Kare
- Ganesh Vandna – Bega Sa Padharo Ji
- Mam Naman Karo Sweekar Gajanan Gauri Ke Lala
- Saare Sankat Ko Harne
- Tore Mathe Lago Sindoor Ganpati Moriya Re
- Ganpati Ghar Mere Aana Jee Aake Darash Dikhana Jee
- Mere Kirtan Mein He Ganpati Gajanan Ab To Aa Jao
- Top 100 Best ganesh ji ke bhajans lyrics
Pingback: गणेश जी के भजन – bhakti.lyrics-in-hindi.com