Jwalapuri Mein Bhawan Banaya
Aao Meri Nagariya O Balaji
Jwalapuri Mein Bhawan Banaya
Aao Meri Nagariya O Balaji
Teri Jyot Jage Mandir Mein Subah Shaam Ho
Tere Beech Bhawan Swami Sita Ram Ho
Mandir Andar Peepal Raja
Unch Banadi Din Charya O Balaji
Tere Seva Mein Rehte Ram Avatar Yogi
Teri Daya Se Theek Ho Saare Rogi Jee
Ganda Langota Tera Baba
Laavo Baandh Kesariya O Balaji
Jab Hove Aarti Sabke Chheta Lagega
Bhoot Pret Ka Saya Pal Mein Bhagega
Teri Sharan Mein Bhagat Tumhare
Fero Mehar Nazariya O Balaji
Teri Laave Chauki Ram Avatar Roni Mein
Samsherwar Maa Deedar Kare Tera Roni Mein
Capt Sharma Teri Yaad Mein
Beeti Rahi Umariya O Balaji
Jwalapuri Mein Bhawan Banaya
Aao Meri Nagariya O Balaji