Aaya Bhado Ka Maheena
Kanha Aayenge Jaroor
Kanha Aayenge Kanha Aayenge
Murali Bhi Bajayenge Jaroor
Kanha Gwal Baal Ke Sang
Mein Toli Layenge Jaroor
Toli Layenge Toli Layenge
Toli Layenge To Ras Rachayenge Jaroor
Shor Baja Hai Gali Gali
Mein Ghanta Jhanjhar Baaj Rahe
Bacha Ho Yaa Budha Hai
Sabpe Chada Hai Suroor
Kanha Aayenge Kanha Aayenge
Toli Layenge Toli Layenge
Toli Layenge To Ras Rachayenge Jaroor
Aaj Janam Din Hai Knaha Ka
Doodh Se Inhe Nahalau Re
Gwal Baal Inhe Apne Ghar Mein
Jhoola inhe Jhulao Re
Karo Aarti Milke
Saare Hoga Sankat Door
Kanha Aayenge Kanha Aayenge
Murali Bhi Bajayenge Jaroor
Saja Hua Hai Har Ek Mandir
Matki Handi Phoot Rahi
Maare Khushi Ke Chhalak Raha
Sabke Nainon Se Noor
Kanha Aayenge Kanha Aayenge
Toli Layenge Toli Layenge
Toli Layenge To Ras Rachayenge Jaroor
Kahe Anadi Iss Mauke Par
Bana Hua Makhna Mishri
Main Bhi Cake Maganuga
Jab Cake Katega Ghar Par
Maja Aayega Bharpoor
Kanha Aayenge To Meethi Taan
Bajayenge Jaroor
Pingback: लागी जो लगन तेरे चरणों मे लगन हमारी टूटे ना लगन हुमारी टूटे ना Bhakti ke Bhajan Singer ke gane- Krishna Ji bhajans Lyrics – bhakti.lyrics-in-hindi.com