Karti Sher Sawari Maa Lagti Pyari Pyari Maa
Peele Sher Pe Baithi Maiya Laal Chunariya Chamke

Peele Sher Pe Baithi Maiya Laal Chunariya Chamke
Aao Bhakto Maa Ke Bhawan Pe Nachenge Hum Jamke
Maa Ka Dhaam Hai Nirala Maa Ka Naam Hai Nirala
Karti Sher Sawari Maa Lagti Pyari Pyari Maa
Navrate Ab Aaye Hai
Rang Khushi Ke Chhaye Hai
Bhakto Ne Dekho Maa Ke Bhawan Sajaye Hai
Bhare Thaal Phal Meva Se
Maa Ko Manaye Seva Se
Man Ki Muradi Maa Se Magane Ko Aaye Hai
Maharani Tere Darash Ko Aaye Hai
Mathe Upar Bandh Chunariya
Bhakt Lagaye Thumke
Paav Mein Payal Chamke
Maa Ka Dhaam Hai Nirala Maa Ka Naam Hai Nirala
Karti Sher Sawari Maa Lagti Pyari Pyari Maa
Maiya Meri Aayegi Sabke Kaaj Banayegi
Sherawali Maiya Sabko Darsh Dikhayegi
Jagdambe Jag Daati Hai Sabko Gale Lagati Hai
Bhakto Ki Khaali Jholi Maa Bhar Jaati Hai
Maa Ko Manalo Pukaro Bulalo
Jagalo Maiya Bhagya Jagati
Aao Bhakto Maa Ke Dar Pe
Halwa Baate Jamke
Mit Jayenge Paap Sabhi Ke
Bhakto Janam Janam Ke
Maa Ka Dhaam Hai Nirala Maa Ka Naam Hai Nirala
Karti Sher Sawari Maa Lagti Pyari Pyari Maa
Jo Maa Ke Gun Gayenga
Bhav Sagar Tar Jayega
Aaye Jo Maa Ke Dware Sab Sukh Payega
Nirdhan Ko Dhanwan Kare Bhakto Ka Kalyan kare
Ban Jaa Pujari Maa Ka Dukh Mit Jayega
Maiya Sherowali Balshaali Vardani
Bhawani Maa Se Phal Tu Payega
Jyot Jagale Tu Maiya Ki
Peechha Chhute Dum Se
Aao Bhakto Maa Ke Bhawan Pe
Naachenge Hum Jamke
Maa Ka Dhaam Hai Nirala
Maa Ka Naam Hai Nirala
Karti Sher Sawari Maa
Lagti Pyari Pyari Maa