Ganpati Jag Da Adhar
Bolo Jai Jai Gajanan
Mahima Hai Apram Paar
Bolo Jai Jai Gajanan
Bappa Gajanan Bappa Gajanan
Naam Jape Sansaar
Bolo Jai Jai Gajanan
Mahima Hai Apram Paar
Bolo Jai Jai Gajanan

Shiv Hai Pita Aur Gaura Hai Mata
Pyari See Hai Ye Ganpati Ki Gatha
Kaise Hai Ganpati Jag Mein Hai Aaye
Kaise Gajanan Naam Dharaye
Kaise Hua Hai Avtaar Bolo Jai Jai Gajanan
Ganpati Jag Ka Adhar
Bolo Jai Jai Gajanan
Tan Ke Mail Se Putra Banakar
Bithaya Balak Ne Gora Ne Bahar
Aane Na Dena Kisi Ko Bheetar
Snan Gayi Aadhesh Sunakar
Voto Bane Maiya Ke Pehare Dar
Bolo Jai Jai Gajanan
Ganpati Jag Ka Adhar
Bolo Jai Jai Gajanan
Shiv Shambhu Jab Aaye Lautkar
Jaane Lage Shiv Gufa Ke Bheetar
Aake Samne Rashta Hai Roka
Shiv Ji Ko Ganpati Ne Toka
Krodhit Hue Gauri Kumar
Bolo Jai Jai Gajanan
Ganpati Jag Ka Adhar
Bolo Jai Jai Gajanan
Shiv Shankar Tab Rosh Mein Aaye
Daud Pade Hai Trishul Uthaye
Yuddh Hua Dono Mein Bhaari
Shashtra Chala Ke Bhandari
Sheesh Diya Hai Utaar
Bolo Jai Jai Gajanan
Ganpati Jag Ka Adhar
Bolo Jai Jai Gajanan
Gaura Maa Jab Bahar Aayi
Dekh Putra Ko Maa Akulai
Putra Viyog Tha Maa Ko Bhari
Mana Ke Haare Damru Dhari
Rove Maa Gora Baram Baar
Bolo Jai Jai Gajanan
Ganpati Jag Ka Adhar
Bolo Jai Jai Gajanan
Tab Shiv Ne Gaj Sheesh Mangaya
putra Ke Tan Vah Sheesh Lagaya
Tan Apne Gaj Sheesh Hai Dhara
Sabne Unhe Fir Gajanan Pukara
Vandan Kare Hai Sansaar
Bolo Jai Jai Gajanan
Ganpati Jag Ka Adhar
Bolo Jai Jai Gajanan
Ati Baldhari Ati Balvanta
Pratham Sumirte Sur Nar Santa
Ridhi Siddhi Hai Sang Tihare
Shubh Laabh Chale Tere Ishare
Vighano Ko Dete Hai Taar
Bolo Jai Jai Gajanan
Ganpati Jag Ka Adhar
Bolo Jai Jai Gajanan
Pingback: Shiv Gauri Putra Ganesh Pratham Pranam Karo – bhakti.lyrics-in-hindi.com
Pingback: Top 100 Best ganesh ji ke bhajans lyrics – bhakti.lyrics-in-hindi.com