Sar Per Uthaye Hue Bheto Ke Thaal
Dekh Tera Chola Hote Sab Hi Nihaal
Poochhe Ek Dooje Se Vo Ek Hi Sawal
Maiya Kisne Ranga Hai Ye Gulabi Chola
Ye Lagta Pyara Hanji Ye Sabse Nyara
Ye Naiya Taare Hanji Dukh Harta Saare Haanji
Dekh Ke Isko Bhakto Ka Hai Dil Dola
Maiya Kisne Ranga Hai
Ye Gulabi Chola
Kis Kis Kishmat Wale Ne
Maiya Gota Isse Lagaya hai
Kaun Hai Jisne Taro Ki
Jhil Mil Se Isse Sajaya Hai
Taaro Sa Chamke Bijali Sa Damke
Ye Maa Ko Pyara Kare Jag Ujiyare
Ganga Jal Mein Maiya Rang Gulabi Khola
Maiya Kisne Ranga Hai
Ye Gulabi Chola
Door Se Hai Aaye Maiya Tere Dwar
Sar Per Uthaye Hue Bheto Ke Thaal
Dekh Tera Chola Hote Sab Hi Nihaal
Poochhe Ek Dooje Se Vo Ek Hi Sawal
Maiya Kisne Ranga Hai
Ye Gulabi Chola
Brahma Ne Vishnu Se Poochha
Vishnuji Ne Shankar Se
Nadiyo Ne Parvat Se Poochha
Aur Darti Ne Amber Se
Ye Kaaj Sanware Ye Kasht Nivare
Ye Mangal Kaari Ye Sankat Haari
Suraj Ne Chanda Se Poochha
Chanda Ye Bola
Maiya Kisne Ranga Hai
Ye Gulabi Chola
Mere Pyare Bhakto Ne Hi
Chola Mera Banaya Hai
Kabhi Naa Chhute Prem Ka
Aesa Pakka Rang Chadaya Hai
Kare Aasha Puri Dikhta Noori
Phoolo Se Hansta Har Dil Mein Basta
Sherowali Maiya Ne Ye Bhed Khola
Maiya Kisne Ranga Hai
Ye Gulabi Chola
Pingback: प्रतापगढ़ में बा चंडी पुर धाम ऐ भैया – bhakti.lyrics-in-hindi.com
Pingback: durga ji bhajan lyrics in hindi – bhakti.lyrics-in-hindi.com