Maiya Rani Mujh Bete Ko Dar Pe Bula Lo

Maiya Rani Mujh Bete Ko
Dar Pe Apne Bula Lo Naa

Maiya Rani Mujh Bete Ko
Dar Pe Apne Bula Lo Naa

Apne Bhawan Mein Charno
Maa Ka Sevak Mujhe Banalo Naa

Maiya Rani Mujh Bete Ko
Dar Pe Apne Bula Lo Naa

Meri Khata Kya Mujhko Bata Do
Dar Jo Tere Main Naa Aaya

Tere Darash Jo Naa Paya Jo
Jeevan Mein Kuchh Naa Paya

Sabse Nata Maiya Tumhara
Mujhse Bhi Nata Banalo Naa

Apne Bhawan Mein Charno Ka
Maa Sevak Mujhe Banalo Naa

Maiya Rani Mujh Bete Ko
Dar Pe Apne Bula Lo Naa

Jaise Maiya Ganga Jal Jo
Charno Tumhare Rehta Hai

Vaishe Sharan Mein Baith Tumhare
Rom Rom Ye Kehta Hai

Mere Hatho Maiya Rani
Apne Charan Dhulvalo Naa

Apne Bhawan Mein Charno Ka
Maa Sevak Mujhe Banalo Naa

Mujhko Bata Do Maiya Rani
Kaise Tumko Manau Main

Paawan Darshan Kaise Pau Main
Dhaam Tumhare Aau Main

Bhej Sandesha Mujhko Bhi Maa
Apne Dar Bulvalo Maa

Apne Bhawan Mein Charno Ka
Maa Sevak Mujhe Banalo Naa

Maiya Rani Mujh Bete Ko
Dar Pe Apne Bula Lo Naa

Leave a Reply