Kaanto Se Bhari Bagiya
Phoolo Se Sanwari Hai
Jaisa Bhi Hu Harpal
Mujh Per Balihaari Hai
Iss Pure Jagat Mein
Meri Maa Sabse Nirali Hai
Iss Pure Jagat Mein
Meri Maa Sabse Nirali Hai
Kaanto Se Bhari Bagiya
Phoolo Se Sanwari Hai
Khud So Kar Ke Bhookha
Bhar Pet Khilati Hai
Peekar Ke Har Aansu
Har Dum Muskaati Hai
Haalat Ho Kaisa Bhi
Mujhper Ithlati Hai
Iss Pure Jagat Mein
Meri Maa Sabse Nirali Hai
Kaanto Se Bhari Bagiya
Phoolo Se Sanwari Hai
Har Ek Musibat Se Ladna Sikhlati Hai
Khud To Ye Akele Mein
Aksar Behlati Hai
Gam Ki Parchhayi Ko
Khud Gale Lagati Hai
Iss Pure Jagat Mein
Meri Maa Sabse Nirali Hai
Kaanto Se Bhari Bagiya
Phoolo Se Sanwari Hai
Jab Tak Hai Saya Tera
Har Roj Deewali Hai
Tere Aachal Ki Chhaya
Karti Rakhwali hai
Bhagwan Ki Dharti Per
Chetan Tu Nishani Hai
Iss Pure Jagat Mein Meri
Meri Maa Sabse Nirali Hai
Kaanto Se Bhari Bagiya
Phoolo Se Sanwari Hai
Pingback: bhajans sangrah hindi fonts me – bhakti.lyrics-in-hindi.com