Mujhe Aaya Lifafa Maiyya Kaa Issi Khushi Mein Nachan De

Mujhe Aaya Lifafa Maiyya Kaa
Issi Khushi Mein Nachan De

Bin Bachhade Ke Tarse Gaiya
Aise Hi Bachcho Bin Maiyya
Maiyya Paar Lagaye Hai Naiyya
Issi Khushi Mein Nachan De

Aaya Lifafa Maiyya Ka
Isi Khushi Mein Nachan De

Halkare Ne Ghanti Bajayi
Wo Bola Teri Chithhi Aayi
Likhni Wali Hai Maha Mayi
Issi Khushi Mein Nachan De

Aaya Lifafa Maiyya Ka
Isi Khushi Mein Nachan De

Maa Ne Mujhko Bhawan Bulaya
Main Bhi Phoola Nahi Samaya
Kari Mujh Par Aanchal Ki Chhaya
Issi Khushi Mein Nachan De

Aaya Lifafa Maiyya Ka
Issi Khushi Mein Nachan De

Mujhe Vaishno Devi Jana
Jakar Maa Ko Chhatra Chadhana
Hai Bada Purana Ye Rista
Issi Khushi Mein Nachan De

Mujhe Aaya Lifafa Maiyya Ka
Issi Khushi Mein Nachan De

Mujhe Aaya Lifafa Maiyya Ka
Issi Khushi Mein Nachan De

Mujhe Aaya Lifafa Maiyya Ka
Issi Khushi Mein Nachan De

Leave a Reply