Kabir Kamai Aapni Aur Kade Na Nishfal Jaye
So Pe Sa Peechhe Dhari To Mile Agadi Aaye
Ram Dashrath Ke Ghar Janme
Gharana Ho To Aisa Ho
Log Darshan Ko Chale Aaye
Suhaana Ho To Aisa Ho
Yeh Keh Ke Kaam Karne Ko
Munishwar Le Gaye Van Mein
Udaye Shesh Daityan Jan Ko
Nishana Ho To Aisa Ho
Ram Dashrath Ke Ghar Janme
Gharana Ho To Aisa Ho
Danush Ko Jaaye Kar Toda
Janak Ki Rajdhani Mein
Bhoop Sab Man Mein Sharmaye
Lajana Ho To Aisa Ho
Ram Dashrath Ke Ghar Janme
Gharana Ho To Aisa Ho
Pita Ki Maan Kar Aagya
Ram Van Ko Chale Jab Bhi
Na Chhoda Sang Sita Ne
Janana Ho To Aisa Ho
Ram Dashrath Ke Ghar Janme
Gharana Ho To Aisa Ho
Siya Ko Le Gaya Rawan
Bankar Besh Jogi Ka
Karaya Nash Sab Apna
Deewana Ho To Aisa Ho
Ram Dashrath Ke Ghar Janme
Gharana Ho To Aisa Ho
Preet Sugreev Se Karke
Giraya Baan Se Baali
Dilayi Naar Fir Uski
Harana Ho To Aisa Ho
Ram Dashrath Ke Ghar Janme
Gharana Ho To Aisa Ho
Gaya Hanuman Sita Ki
Khabar Lene Ko Lanka Mein
Jalakar Ke Nagar Aaya
Sayana Ho To Aisa Ho
Ram Dashrath Ke Ghar Janme
Gharana Ho To Aisa Ho
Bandh Setu Samundra Mein
Utara Paar Sena Ko
Mitaya Vansh Rawan Ka
Harana Ho To Aisa Ho
Ram Dashrath Ke Ghar Janme
Gharana Ho To Aisa Ho
Raj Dekar Vibhishan Ko
Ayodhya Laut Kar Aaye
Ho Brahmanand Bal Apna
Dikhana Ho To Aisa Ho
Ram Dashrath Ke Ghar Janme
Gharana Ho To Aisa Ho