Ram Bulava Aave Ek Din Uss Bulave Se Dariyo
Aage Marji Aapki Bhaiya Sumiran Kariyo Na Kariyo
Lakh Chaurasi Bhog Ke Yoni Manav Chola Milta Hai
Har Kripa Se Jeevan Ka Ye Phool Suhana Khilata Hai
Deh Dhare Ka Mol Hai Bhai Bhav Sagar Se Tariyo
Aage Marji Aapki Bhaiya Sumiran Kariyo Na Kariyo
Maat Pita Aur Bhai Bhandhu Jeete Jee Ke Sathi Hai
Ant Samay Sab Aankh Dikhaye Tere Nahi Himati Hai
Inke Vaste Sochle Khud Chaahe Kitna Bhi Mariyo
Aage Marji Aapki Bhaiya Sumiran Kariyo Na Kariyo
Ab Bhi Samay Sambhal Jau Varna Fir Pachhtauge
Yehi Sath Mein Jayega Suno Daan Kar Jauge
Ye Sansaar To Hai Matlab Ka Apni Karni Khud Bhariyo