Saari Raat Jagrata Karke
Main Maa Ko Manaunga
Iss Baar Navratro Mein
Maa Ko Ghar Mein Bulaunga
Saari Raat Jagrata Karke
Main Maa Ko Manaunga
Iss Baar Navratro Mein
Maa Ko Ghar Mein Bulaunga
Saare Bolo Jai Mata Di
Milkar Bolo Jai Mata Di
Nikali Nahi Maa Meri
Kabhi Apne Bhawan Se
Jai Jai Ho Jai Jai Maa
Koi Kankar Naa Lagane Dunga
Main Maa ke Charano Se
Jis Path Pe Maa Aayegi
Main Uspe Phool Beechhaunga
Iss Baar Navratro Mein
Maa Ko Ghar Mein Bulaunga
Phoolo Se Main Maiya Ki Chauki Sajau
Sone Ke Aasan Pe Main Maa Ko Baithau
Phal Meva Pakwan Se Main To
Maa Ko Bhog Lagaunga
Iss Baar Navratro Mein
Maa Ko Ghar Mein Bulaunga
Saare Bolo Jai Mata Di
Milkar Bolo Jai Mata Di
Maa Kahegi Mujhko Mujhe Jaana Mandir Mein
Main Kahunga Maiya Raho Mere Hi Ghar Mein
Maa To Naa Naa Kahegi
Mujhko Main Ro Ro Maa Ko Manaunga
Iss Baar Navratro Mein
Maa Ko Ghar Mein Bulaunga
Saari Raat Jagrata Karke
Main Maa Ko Manaunga
Iss Baar Navratro Mein
Maa Ko Ghar Mein Bulaunga