Priya Laal Raje Jaha
Taha Vrindavan Jaan
Vrindawan Taj Ek Pag
Jaye Naa Rasik Sujaan
Sab Dhaamo Se Dhaam Nirala
Shri Vrindavan Dhaam
Sab Dhaamo Se Dhaam Nirala
Shri Vrindavan Dhaam
Kunj Nikunj Mein Jaha Viraje
Pyare Shyam Shyam
Mera Vrindavan Pyara
Mera Braj Dhaam Hai Nyara
Jaha Behti Hai Yamuna Rani
Jiski Hai Neel Dhara
Yamuna Rani Ki Jai
Yamuna Rani Ki Jai
Shyam Sundar Yamune Maharani
Teri Sada Hi Jai
Kan Kan Mein Shyam Samaye
Jara Dekho Aake Nazara
Gali Gali Mein Sant Viraje
Japte Krishna Ko Naam
Mera Vrindavan Pyara
Mera Braj Dhaam Hai Nyara
Sab Dhaamo Se Dhaam Nirala
Shri Vrindavan Dhaam
Kunj Nikunj Mein Jaha Viraje
Pyare Shyam Shyam
Mera Vrindavan Pyara
Mera Braj Dhaam Hai Nyara
Uski Kripa Ka Harpal
Jaha Lutta Hai Bhandaar
Milta Hai Yaha Per Sabko
Banke Thakur Ka Pyar
Yugal Yugal Charan Mein
Aake Humko Mil Jaye Vishram
Mera Vrindavan Pyara
Mera Braj Dhaam Hai Nyara
Sab Dhaamo Se Dhaam Nirala
Shri Vrindavan Dhaam
Kahi Bansi Ki Dhun Baaje
Kahi Chham Chham Baaje Payal
Nikunj Mein Viraje
Ghan Shyam Radhe Radhe
Ghan Shyam Radhe Radhe
Gopal Radhe Radhe
Pyala Iss Ras Ka Peekar
Tu Ho Jaiyo Re Pagal
Chitra Vichitra Ko Braj Bhoomi Ko
Koti Koti Pranam
Mera Vrindavan Pyara
Mera Braj Dhaam Hai Nyara
Sab Dhaamo Se Dhaam Nirala
Shri Vrindavan Dhaam
Kunj Nikunj Mein Jaha Viraje
Pyare Shyam Shyam
Mera Vrindavan Pyara
Mera Braj Dhaam Hai Nyara