Shyam Teri Lagan Mein Main Khoya
Kyu Karta Fikar Jab Teri Yaad Mein Main Roya

Shyam Teri Lagan Mein Main Khoya
Kyu Karta Fikar O Mere Shyam
Kyu Karta Fikar Main
Teri Yaad Main Jab Roya
Shyam Teri Lagan Mein Main Khoya
Mujhko Rulakar Dil Uska Bhi Roya Hoga
Chehra Aansuo Se Usne Bhi Dhoya Hoga
Naa Kiya Kuchh Hasil Humne Pyar Mein
To Kuchh Naa Kuchh Usne Bhi
Jaroor Khoya Hoga Pyare
Jeete Hai Shyam Tere Sahare
Din Gujarate Jaise Tu Gujare
Har Mushkil Se Tune Ubara
Shyam Jab Bhai Hai Tumko Pukara
Shyam Teri Lagan Mein Main Khoya
Shyam Teri Lagan Mein Main Khoya
Saanware Saanware
Yaad Hai Apne Saare Gunaah
Ek To Mohabbat Karli
Dusari Tumse Mohabbat Karli
Teesari Bepanaah Mohabbat Karli
Tere Roop Ke Dekh Nazaare
Aaj Jhukne Lage Chaand Taare
Tere Rang Mein Main Rangne Laga Re
Tujhpe Qurbaan Jau Main Pyare
Shyam Teri Lagan Mein Main Khoya
Shyam Teri Lagan Mein Main Khoya
Mere Pyare
Khaak Mujhme Koi Kamaal Rakha Hai
Mere Saanware
Tune To Mujhe Sambhal Rakha Hai
Mere Aebo Mein Daal Parda
Mujhe Achho Mein Daal Rakha Hai
Meri Saanso Mein Tera Basera
Teri Chaukhat Mein Hai Sir Mera
Pran Tan Se Jab Bhi Nikale
Mere Hoto Pe Ho Naam Tera
Shyam Teri Lagan Mein Main Khoya
Shyam Teri Lagan Mein Main Khoya
Mera Naata Apno Se Jod Kar
Tune Pyare
Har Musibat Ko Taal Rakha Hai
Humto Kab Ke Mit Gaye Hote
Bus Teri Teri Rehmato Ne Hi
Mujhe Sambhal Rakha Hai
Saari Duniya Ne Samjha Paraya
Tune Apne Gale Se Lagaya
Baat Per Tu Narsingh Ki Aaya
Fir Se Mehta Ko Apna Banaya
Shyam Teri Lagan Mein Main Khoya
Shyam Teri Lagan Mein Main Khoya
Kyu Karta Fikar O Mere Shyam
Kyu Karta Fikar Main
Teri Yaad Main Jab Roya
Shyam Teri Lagan Mein Main Khoya