Hum To Deewane Tere Naam Ke Maiya
Sukrana Tera Daatiye
Main Karjdaar Tera Hu Maa
Apne Charno Mein Rakhiye
Sukrana Tera Daatiye

Sukrana Tera Daatiye
Main Karjdaar Tera Hu Maa
Apne Charno Mein Rakhiye
Sukrana Tera Daatiye
Jabse Maiya Maine Chumi
Teri Chaukhat Ki Pawan Mitti
Kishmat Ke Panne Badal Daale
Meri Kishmat Tune Aap Likhi
Main Apne Mukh Se Kaise Kahu
Sab Janta Hai Ye Jamana
Sukrana Tera Daatiye
Hum To Deewane Tere Naam Ke Maiya
Hum To Deewane Tere Naam Ke Maiya
Mere Jeevan Ke Har Ek Dukh Ko
Apne Hatho Se Nikala Hai
Meri Jholi Mein Apni Kripa Ka
Sagar Hi Bhar Dala Hai
Teri Dekh Ke Kripa Kripa Mayi
Main Hogaya Tera Deewana
Sukrana Tera Daatiye
Main Tinka Tha Ek Dharti Ka
Teri Kripa Se Amber Per Hu
Main Jo Bhi Hu Iss Duniya Mein
Kewal Teri Rehmat Par Hu
Sharma Ka Vajood Nahi Kuchh Bhi Maa
Bin Tere Nahi Afsaana
Sukrana Tera Daatiye