Tera Shukriya Maa Tera Shukriya Hai

Mujhe Tune Maiyaji
Sabkuchh Diya Hai
Tera Shukriya Maa
Tera Shukriya Hai

Mujhe Tune Maiyaji
Sabkuchh Diya Hai
Tera Shukriya Maa
Tera Shukriya Hai

Naa Milti Agar Maa
Koi Daat Teri
Jamane Mein Kya Thi
Aukaat Meri

Mujhe Tune Jeene Ke
Kabil Kiya Hai
Tera Shukriya Maa
Tera Shukriya Hai

Kiya Kuchh Naa Maine
Sharama Saar Hu Main

Teri Rehmato Ka
Talabgaar Hu Main

Diya Kuchh Nahi
Bus Liya Hi Liya Hai
Tera Shukriya Maa
Tera Shukriya Hai

Teri Rehmato Ka
Ishara Naa Hota
To Duniya Mein Mera
Gujara Naa Hota

Usse Kya Kami Jo
Tera Ho Gaya Hai
Tera Shukriya Maa
Tera Shukriya Hai

Mujhe Tune Maiyaji
Sabkuchh Diya Hai
Tera Shukriya Maa
Tera Shukriya Hai

Leave a Reply