Tere Dum Se Hai Dum Mere Pyare Balam
Duniya Mein Tuhi Sahara Hai
Kahe Issliye Hum Nahi Kisi Se Kam
Jab Banke Bihari Hamara Hai
Tere Dum Se Hai Dum Mere Pyare Balam
Duniya Mein Tuhi Sahara Hai
Hota Jab Pass Rupaiya Hai
Sab Sangi Sathi Bhaiya Hai
Jab Aata Hai Gam
Fir Dhundhe Hai Hum
Par Hota Hai Pass Kanhaiya
Tere Dum Se Hai Dum Mere Pyare Balam
Duniya Mein Tuhi Sahara Hai
Tum Kadam Kadam Sang Chalte Ho
Harpal Hi Saath Nibhate Ho
Nahi Darte Hai Hum Bus Bharte Dum
Girdhari Nath Hamara Hai
Tere Dum Se Hai Dum Mere Pyare Balam
Duniya Mein Tuhi Sahara Hai
Gokul Mathura Vrindavan Mein
Barsana Jee Govardhan Mein
Kare Jo hai Bhraman Chhute Bandhan
Braj Raj Mein Vas Tumhara Hai
Tere Dum Se Hai Dum Mere Pyare Balam
Duniya Mein Tuhi Sahara Hai
Kishmat Wale Hai Hum Pyare
Teri Bhakti Ko Jo Paya Hai
Nit Karte Bhajan Charanan Vandan
Banwari Sath Tumhara Hai
Tere Dum Se Hai Dum Mere Pyare Balam
Duniya Mein Tuhi Sahara Hai
Shri Radhe Radhe Japta Hu
Tere Naam Ki Masti Mein Rehta Hu
Tan Man Kanchan Kardo Bhagwan
Ashwani Gun Gaata Tumhara Hai
Tere Dum Se Hai Dum Mere Pyare Balam
Duniya Mein Tuhi Sahara Hai
Kahe Issliye Hum Nahi Kisi Se Kam
Jab Banke Bihari Hamara Hai