Tere Naam Ka Sahara Kisne Diya Hai Daati

Maa Tera Naam Ka Sahara
Kisne Diya Hai Daati

Katwa Ke Apna Sar Vo
Fir Se Jiya Hai Daati

Maa Tere Naam Ka Sahara
Kisne Diya Hai Daati

Katwa Ke Apna Sar Vo
Fir Se Jiya Hai Daati

Man Mein Tamanna Lekar
Darpe Tumhare Aaye

Bakshe Gunaah Tu Uske
Jo Dar Pe Sar Jhukaye

Murde Ko Tune Pal Mein
Zinda Kiya Hai Daati

Katwa Ke Apna Sar Vo
Fir Se Jiya Hai Daati
Tere Naam Ka Sahara

Rehmat Ka Tu Khajana
Mamta Tumhare Dil Mein

Man Ki Murade Milti
Maiya Teri Mehfil Mein

Banjhan Ko Apne Dar Se
Beta Diya Hai Daati

Katwa Ke Apna Sar Vo
Fir Se Jiya Hai Daati
Tere Naam Ka Sahara

Tu Jispe Meharbaan Ho
Usko Kami Naa Aaye Maa

Laakho Fakir Tune
Shanshaah Banaye
Suraj Ne Tere Charno Ka
Amrat Piya Hai Daati

Katwa Ke Apna Sar Vo
Fir Se Jiya Hai Daati
Tere Naam Ka Sahara

Maa Tera Naam Ka Sahara
Kisne Diya Hai Daati

Leave a Reply