Priyakant Sarkar Aapke Prem Mein Magan
Tere Naam Se Maine Pyare Lagali Lagan
Magan Hu Main Aap Mein Magan
Bhajan Karu Aapka Hi Bhajan
Priyakant Sarkar Aapke Prem Mein Magan
Tere Naam Se Maine Pyare Lagali Lagan
Magan Hu Main Aap Mein Magan
Bhajan Karu Aapka Hi Bhajan
Yugal Chhavi Sarkar Aapki
Mere Man Ko Bhaye
Khoya Jhoothe Jag Mein Ye Man
Kaise Darshan Paaye
Gaa Gaake Tere Naam Ki Mahima
Gujar Jaaye Jeevan
Tere Naam Se Maine Pyare
Lagali Lagan
Magan Hu Main Aap Mein Magan
Bhajan Karu Aapka Hi Bhajan
Hey Vrishbhan Nandani Mujhpe
Kor Kripa Ki Keejo
Kaise Kahu Vrishbhan Dulari
Apni Sharan Mein Leejo
Chhuda Ke Duniya Daari Saari
Basalo Vrindavan
Tere Naam Se Maine Pyare
Lagali Lagan
Magan Hu Main Aap Mein Magan
Bhajan Karu Aapka Hi Bhajan
Shakti Alokik Priyakant Ju
Vrindavan Mein Raje
Naam Ka Danka Yugal Chhavi Ka
Teen Lok Mein Baaje
Pagal To Hogaya Tumhara
Saup Diya Tan Man
Tere Naam Se Maine Pyare
Lagali Lagan
Magan Hu Main Aap Mein Magan
Bhajan Karu Aapka Hi Bhajan