Vindhyachal Me Mere Chamke Sitare

Vindhyachal Me Mere Chamke Sitare
Meri Maa Ne Mujhe Diye Sukh Saare
Iss Jag Se Mujhko Kya Lena

Vindhyachal Me Mere Chamke Sitare
Meri Maa Ne Mujhe Diye Sukh Saare
Jai Maa Jai Maa Jai Maa

Maa Ganga Ke Tat Pe Baithi
Aadi Shakti Vindhya Bhawani

Saare Bhakto Ke Sankat Harti
Sankat Harni Kalyani
Goonje Dharti Aasmaa
Jai Ho Jai Ho Maa
Mujhe Har Dum Charno
Mein Rakhna Maa Rakhna

Vindhyachal Me Mere Chamke Sitare
Meri Maa Ne Mujhe Diye Sukh Saare

Unche Parvat Pe Basera
Maa Aasht Bhuji Maharani
Kali Khov Mein Kaali Banke
Dukh Vipda Mitaye Maiya Raani

Bhakt Aate Raat Din Mile Maa Ke Dar
Meri Maiya Ke Jaisa Koi Naa

Vindhyachal Me Mere Chamke Sitare
Meri Maa Ne Mujhe Diye Sukh Saare

Hey Jag Janani Maharani
Tumse Hi Shrishti Saari

Bina Kripa Ke Hey Mata
Ek Pag Bhi Chalna Bhaari
Tera Hi Beta Satyendra
Charno Mein Aaya Devendera
Apni Hi Seva Mein Maa Lena

Vindhyachal Me Mere Chamke Sitare
Meri Maa Ne Mujhe Diye Sukh Saare

Leave a Reply