Vo Khuda Ko Nahi Dhoondhte Dar Badar
Jinko Tera Dwara Nazar Aa Gaya
Vo Khuda Ko Nahi Dhoondhte Dar Badar
Jinko Tera Dwara Nazar Aa Gaya
Chhod Karke Jo Tere Sharan Aa Gaye
Unko Tera Nazara Nazar Aa Gaya
Chhod Karke Jo Jag Ko Aaye Tere Dar
Unko Tera Nazara Nazar Aa Gaya
Hum Kinare Pe The Aur Kinare Rahe
Aap Se Ab Kinara Kabhi Naa Kare
Aankh Meri Khuli Hath Tere Khule
Door Tha Jo Kinara Nazar Aa Gaya
Vo Khuda Ko Nahi Dhoondhte Dar Badar
Jinko Tera Dwara Nazar Aa Gaya
Aapne Khud Se Parda Hataya Sanam
Mere To Lakh Parde Hate Aap Se
Tu To Parada Nasheen Hai Chhipega Kaha
Tera To Bhed Sara Nazar Aa Gaya
Vo Khuda Ko Nahi Dhoondhte Dar Badar
Jinko Tera Dwara Nazar Aa Gaya
Tu Khuda Hai Khudayi Pe Rehmat Kare
Jobhi Aate Sharan Unke Karaj Kare
Apne Bhakto Ke Saare Hi Karaj Kare
Tere Charno Pe Banke Jo Sevak Pade
Unko Sahara Nazar Aa Gaya
Vo Khuda Ko Nahi Dhoondhte Dar Badar
Jinko Tera Dwara Nazar Aa Gaya
Banshiwale Sahara Tera Hai
Mera Aur Sahara Koi Nahi
Vo Khuda Ko Nahi Dhoondhte Dar Badar
Jinko Tera Dwara Nazar Aa Gaya
Singer – Bhai Mahavir Sharma Ji